اردو हिंदी
Hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi | Shaahi Shayari
hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi

Ghazal

Hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi

Arif Abdul Mateen

;

hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi
tirgi nur ke paikar mein simaT jaegi

log kahte hain mohabbat se tamanna jis ko
meri shah-e-rag usi talwar se kaT jaegi

tum jise banT rahe ho wo sitam-dida-zamin
zalzala aaega kuchh aisa ki phaT jaegi

qaid hun gumbad-e-be-dar mein meri apni sada
mujh tak aaegi magar aa ke palaT jaegi

banT ji bhar ke use dahr ke mahrumon mein
pyar daulat to nahin hai ki jo ghaT jaegi

baad-e-sarsar se na ghabra ki ye chal kar 'arif'
kitne chehron se naqabon ko ulaT jaegi