hum bhi guzar gae yahan kuchh pal guzar ke
raaten thin qarz ki yahan din the udhaar ke
jaise purana haar tha rishta tera mera
achchha kiya jo rakh diya tu ne utar ke
dil mein hazar dard hon aansu chhupa ke rakh
koi to karobar ho bin ishtihaar ke
kya jaane ab bhi dard ko kyun hai meri talash
TukDe bhi ab kahan bache is ke shikar ke
shayad zaban pe qarz tha hum ne chuka diya
KHamosh ho gae hain tujhe hum pukar ke
aise sulag uTha teri yaadon se dil mera
jaise dhadhak uThen kahin jangal chinar ke
Ghazal
Hum bhi guzar gae yahan kuchh pal guzar ke
Ajay Sahaab