hum bayabanon mein ghume shahr ki saDkon pe Tahle
dil kisi surat to sambhle dil kisi surat to bahle
zindagi ke raste mein do-ghaDi ka sath hai ye
apne man ki main bhi kah lun apne man ki tu bhi kah le
goya zinda rahna bhi ek jurm tere shahr mein tha
hum har ek aahaT pe larze hum har ek dhaDkan pe dahle
ab to ta-hadd-e-nazar viraniyan phaili hui hain
ghar ka ye be-dar KHaraba kitna tha aabaad pahle
waqt aisa aa gaya hai KHamushi behtar hai 'munzir'
baat jo kahta hai sun le choT jo lagti hai sah le
Ghazal
Hum bayabanon mein ghume shahr ki saDkon pe Tahle
Basheer Munzir