hum barq-o-sharar ko kabhi KHatir mein na lae
us fitna-e-dauran ko magar dekh na pae
go qatre mein dariyaon ka tufan samae
par shauq ki rudad kab alfaz mein aae
zulfon ko diya hai ruKH-e-zeba ne ajab rang
jalwon se tere aur bhi raushan hue sae
ye ishq ke shoale bhi ajab chizen hain yani
jo aag lagae wahi KHud aag bujhae
Dhalti hai wo mai ek tere paimane mein saqi
masti ko bhi jo hosh ke aadab sikhae
teri hi nigahon ka tasarruf tha ki hum ne
ranai-e-afkar ke eajaz dikhae
jis dil pe kisi ki nigah-e-lutf paDi thi
baiThe hain 'surur' us ko kaleje se lagae
Ghazal
Hum barq-o-sharar ko kabhi KHatir mein na lae
Aal-e-Ahmad Suroor