اردو हिंदी
Hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae | Shaahi Shayari
hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

Ghazal

Hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

Iram Lakhnavi

;

hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae
aae na bahaar aaKHir shayad na bahaar aae

rang un ke talawwun ka chhaya raha mahfil par
kuchh sina-figar uTThe kuchh sina-figar aae

fitrat hi mohabbat ki duniya se nirali hai
ho dard siwa jitna utna hi qarar aae

kya husn-e-tabiat hai kya ishq ki zinat hai
dil miT ke qarar aae rang uD ke nikhaar aae

dar se tere Takraya ek nara-e-mastana
be-nam liye tera hum tujh ko pukar aae

taswir bani dekhi ek jaan-e-tamanna ki
aansu meri aankhon mein kya silsila-war aae

kuchh un se na kahna hi thi fath mohabbat ki
jiti hui bazi ko hum jaan ke haar aae

is darja wo pyare hain kahte hi nahin banta
kya aur kaha jae jab aur bhi pyar aae

is bazm mein hum aaKHir pahunche bhi to kya paya
dil hi ki dabi choTen kuchh aur ubhaar aae