اردو हिंदी
Hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the | Shaahi Shayari
hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the

Ghazal

Hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the

Zubair Rizvi

;

hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the
har rah mein rukte the har dar pe Thaharte the

virana koi hum se dekha nahin jata tha
diwar uThate the darwaze badalte the

aawara se hum laDke raaton ko phira karte
hum sarw charaghan the chaurahon pe jalte the

ye KHak-e-jahan un ke qadmon se lipaT jati
jo rah ke kanTon ko chunte hue chalte the

ek sham sar-e-mahfil hum ne bhi use dekha
ye sach hai un aankhon mein mai-KHane machalte the