اردو हिंदी
Hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe | Shaahi Shayari
hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe

Ghazal

Hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe

Nazeer Akbarabadi

;

hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe
mizha pe aan ke Tuk jam rahe rahe na rahe

rahen wo shaKHs jo bazm-e-jahan ki raunaq hain
hamari kya hai agar hum rahe rahe na rahe

mujhe hai naza wo aata hai dekhne ab aah
ki us ke aane talak dam rahe rahe na rahe

baqa hamari jo puchho to jon charagh-e-mazar
hawa ke bich koi dam rahe rahe na rahe

milo jo hum se to mil lo ki hum ba-nok-e-giyah
misal-e-qatra-e-shabnam rahe rahe na rahe

yahi hai azm ki dil bhar ke aaj ro lije
ki kal ye dida-e-pur-nam rahe rahe na rahe

tumhaare gham mein gharaz hum to de chuke hain ji
bala se tum ko bhi ab gham rahe rahe na rahe

yahi samajh lo hamein tum ki ek musafir hain
jo chalte chalte kahin tham rahe rahe na rahe

'nazir' aaj hi chal kar buton se mil lije
phir ishtiyaq ka aalam rahe rahe na rahe