hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte
karte hain agar kuchh to dikhawa nahin karte
ye sach hai ki duniya ki rawish Thik nahin hai
kuchh hum bhi to duniya ko gawara nahin karte
ek bar to mehman banen ghar pe hamare
ye un se guzarish hai taqaza nahin karte
duniya ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko
hum bhul to jate hain bhulaya nahin karte
farda pe hain nazren to kabhi haal pe nazren
mazi ko magar muD ke bhi dekha nahin karte
jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho
hum aise gharon mein kabhi rishta nahin karte
barish ho ki tufan ho ya aag ka jangal
hum ghar se nikal jaen to socha nahin karte
jo KHwab nazar aata hai sarsabz zamin ka
us KHwab ki tabir bataya nahin karte
bazar mein bikte nahin wo log umuman
rishton ka jo apne kabhi sauda nahin karte
Ghazal
Hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte
Mushtaq Sadaf