اردو हिंदी
Hum apne zehn par pahle use tari karenge | Shaahi Shayari
hum apne zehn par pahle use tari karenge

Ghazal

Hum apne zehn par pahle use tari karenge

Mohsin Asrar

;

hum apne zehn par pahle use tari karenge
phir is ke baad apne qalb ko jari karenge

hum apne zahir o baatin ka andaza laga len
phir us ke samne jaane ki tayyari karenge

mohabbat hum se us ko ho gai to Thik warna
hum apni sakh rakhne ko adakari karenge

ab aisi muflisi mein kya kahin ho aana-jaana
magar kab tak hum us se uzr-e-bimari karenge

mere kis kaam ke hain ab ye kawwe aur kabutar
abas barbaad ghar ki chaar-diwari karenge

bahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din
bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge

yahan ab log 'mohsin' zindagi karte kahan hain
zara se dukh mein roenge aza-dari karenge