hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen 
na koi zaicha khinchen na istiKHara karen 
usi se lafz bane man bhi ek hai jin mein 
to kaise harf ki be-hurmati gawara karen 
usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne baKHsha 
kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen 
shuur-e-sher ne wo aankh khol di dil mein 
ki ab to hum pas-e-imkan bhi nazara karen 
firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain 
KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen 
ilahi khol de hum par dar-e-madina-e-ilm 
ali ali isi ummid par pukara karen 
asa nahin na sahi hum faqir log magar 
hon mauj mein to talatum ko hi kinara karen 
KHuda ka shukr hai sab zar-pasand jah-talab 
hamari sohbat-e-be-faiz se kinara karen 
mile jo waqt to 'anjum' ba-surat-e-diwan 
murattab apni riyazat ka goshwara karen
        Ghazal
Hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen
Anjum Khaleeq

