hum apne hijr mein apne visal mein gum hain
wo sochta hai ki us ke KHayal mein gum hain
har ek lamha-e-lazzat hisab mangta hai
so hum bhi sab ki tarah ek sawal mein gum hain
shafaq ki aankh kise ro rahi hai muddat se
dyar-o-dasht sabhi kis malal mein gum hain
ruton ke daere kyun aaj tak salamat hain
tamam silsile kyun mah-o-sal mein gum hain
ye chand jhil ke pani se ham-kalam hai kyun
kinare kis liye ranj-o-malal mein gum hain
Ghazal
Hum apne hijr mein apne visal mein gum hain
Asad Badayuni