hum apne dil ki dhaDkan mein ek tamanna lae hain
tujh se pyar ki baaten karne dur kahin se aae hain
apni aankhen rahguzar hain apna chehra patthar hai
tere wadon ne bhi mujh ko kya kya KHwab dikhae hain
tere aanchal ki chhanw se shahr-e-junun ki dhup talak
KHushbu ban kar bikhre hum ghuncha ban kar murjhae hain
koi ujala tha jo hamare jism-o-jaan se guzra hai
kis KHurshed ne andhe ghar mein apne aks uDae hain
taza dhup mein jhil kinare jab se tujh ko dekha hai
'jazib' ne ujle ujle rangon ke KHwab bichhae hain
Ghazal
Hum apne dil ki dhaDkan mein ek tamanna lae hain
Jazib Quraishi