اردو हिंदी
Hum apne baKHt-e-siyah ke asar mein rahte hain | Shaahi Shayari
hum apne baKHt-e-siyah ke asar mein rahte hain

Ghazal

Hum apne baKHt-e-siyah ke asar mein rahte hain

Sahba Akhtar

;

hum apne baKHt-e-siyah ke asar mein rahte hain
wo raat hai ki sitare nazar mein rahte hain

tamasha-e-gah-e-tulu-o-ghurub se haT kar
hum ek sawad-e-shab-e-be-sahar mein rahte hain

na thi KHuda ki zamin tang jin ke qadmon par
fughan ki qaid wo diwar-o-dar mein rahte hain

wo aagahi ke samundar kahan hain jin ke liye
tamam-umr ye pyase safar mein rahte hain

hawa-e-kucha-e-mahbub se kahe to kaun
ki hum bhi aarzu-e-nama-bar mein rahte hain

wo shahryar-e-suKHan nam jin ka 'sahba' hai
faqir ban ke teri rahguzar mein rahte hain