hum apne aap se begane thoDi hote hain
surur-o-kaif mein diwane thoDi hote hain
tabah soch-samajh kar nahin hua jata
jo dil lagate hai farzane thoDi hote hain
barah-e-rast asar Dalte hain sachche bol
kisi dalil se manwane thoDi hote hain
jo log aate hain milne tere hawale se
nae to hote hain anjaane thoDi hote hain
isi zamin ke ghazalon se hote hain aabaad
dilon ke dasht pari-KHane thoDi hote hain
hamesha hath mein rahte hain phul un ke liye
kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain
KHayal-o-KHwab ki rahti hai garm-bazari
dimagh-o-dil kabhi virane thoDi hote hain
na aaen aap to mahfil mein kaun aata hai
jale na shama to parwane thoDi hote hain
kisi gharib ko zaKHmi kare ki qatl kare
nigah-e-naz pe jurmane thoDi hote hain
'shuur' tum ne KHuda jaane kya kiya hoga
zara si baat ke afsane thoDi hote hain
Ghazal
Hum apne aap se begane thoDi hote hain
Anwar Shuoor