hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte
chup rahte hain dukh sahte hain koi ranj-o-malal nahin karte
hum jo kuchh hain hum jaise waise hi dikhai dete hain
chehre pe bhabhut nahin malte kabhi kale baal nahin karte
hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya
in chhoTi chhoTi baaton ka hum koi KHayal nahin karte
tere diwane ho jate kahin sahraon mein kho jate
diwar-o-dar mein qaid hamein agar ahl-o-ayal nahin karte
teri marzi par hum raazi hain jo tu chahe so hum chahen
hum hijr ki fikr nahin karte hum zikr-e-visal nahin karte
hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena
hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte
ghazlon mein hamari bolta hai wahi kanon mein ras gholta hai
wahi band kiwaD kholta hai hum koi kamal nahin karte
Ghazal
Hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte
Wali Aasi