hum apne-ap mein rahte hain dam mein dam jaise
hamare sath hon do-chaar bhi jo hum jaise
kise dimagh junun ki mizaj-pursi ka
sunega kaun guzarti hai sham-e-gham jaise
bhala hua ki tera naqsh-e-pa nazar aaya
KHirad ko rasta samjhe hue the hum jaise
meri misal to aisi hai jaise KHwab koi
mera wajud samajh lijiye adam jaise
ab aap KHud hi bataen ye zindagi kya hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise
Ghazal
Hum apne-ap mein rahte hain dam mein dam jaise
Ajmal Siraj