hum apne aap ko phir aazma ke dekhenge
jala ke dekh liya ab bujha ke dekhenge
nae sire se karen apni zindagi aaghaz
nai zamin pe naya ghar bana ke dekhenge
karega sath hamare suluk wo kaisa
kisi ko taKHt pe apne biTha ke dekhenge
dikhai dega siyah-o-safed rahon mein
hum apni aankh ki lau ko baDha ke dekhenge
guzarni hai bahar-haal zindagi apni
kama ke dekh liya ab ganwa ke dekhenge
zarur dad milegi ghazal ho kaisi bhi
mushaere mein chalo hum bhi ga ke dekhenge
Ghazal
Hum apne aapko phir aazma ke dekhenge
Hamdam Kashmiri