اردو हिंदी
Hum apne aapko ek masala bana na sake | Shaahi Shayari
hum apne aapko ek masala bana na sake

Ghazal

Hum apne aapko ek masala bana na sake

Waseem Barelvi

;

hum apne aap ko ek masala bana na sake
isi liye to kisi ki nazar mein aa na sake

hum aansuon ki tarah waste nibha na sake
rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake

phir aandhiyon ne sikhaya wahan safar ka hunar
jahan charagh hamein rasta dikha na sake

jo pesh pesh the basti bachane walon mein
lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake

mere KHuda kisi aisi jagah use rakhna
jahan koi mere bare mein kuchh bata na sake

tamam umr ki koshish ka bas yahi hasil
kisi ko apne mutabiq koi bana na sake

tasalliyon pe bahut din jiya nahin jata
kuchh aisa ho ke tera eatibar aa na sake