hum apne-ap ki pahchan le ke aae hain
nae suKHan nae imkan le ke aae hain
hawa ne war kiya to jawab paegi
ki hum charagh bhi tufan le ke aae hain
charagh-e-qurb se kar dijiye unhen raushan
bujhe bujhe se kuchh arman le ke aae hain
jawab de na sakega hamari baaton ka
ki aap aaina hairan le ke aae hain
in aansuon ka koi qadr-dan mil jae
ki hum bhi 'mir' ka diwan le ke aae hain
hamare pas faqat dhup hai KHayalon ki
jhulaste KHwabon ki dukkan le ke aae hain
ye zaKHm-e-dil nahin ehsan ki nishani hai
hum us nigah ka ehsan le ke aae hain
jo parsa ho to kyun imtihan se Darte ho
hum e'tibar ka mizan le ke aae hain
unhin pe sare masaib ka bojh rakkha hai
jo tere shahr mein iman le ke aae hain
Ghazal
Hum apne-ap ki pahchan le ke aae hain
Manzar Bhopali