hum apna aap luTane kahan pe aa gae hain
KHud apni qadren ganwane kahan pe aa gae hain
dilon se dil mile rahte the ghurbaton mein miyan
shikam ki aag bujhane kahan pe aa gae hain
likha tha purkhon ne sadiyon mein jin ko mehnat se
wo sare shajre jalane kahan pe aa gae hain
jo chahte the rahe apni zat tak har baat
wo apne zaKHm dikhane kahan pe aa gae hain
zamin pe apni hi jal bujh ke KHak ho jate
hum apne dil ko jalane kahan pe aa gae hain
ye wo jagah hai jahan jism tak nahin chhupte
hum apne sar ko chhupane kahan pe aa gae hain
kisi bhi rishte ki izzat yahan nahin baqi
miyan ye aaj zamane kahan pe aa gae hain
ye sach hai ahd-e-taraqqi kiya tha KHud se 'adil'
magar ye ahd nibhane kahan pe aa gae hain
Ghazal
Hum apna aap luTane kahan pe aa gae hain
Adeel Zaidi