hum ajal ke aane par bhi tera intizar karte
koi wada sach jo hota to kuchh eatibar karte
jo na sabr aur dam-bhar tere be-qarar karte
abhi barq ka tariqa falak iKHtiyar karte
agar itni baat sunte ki hai ishq mein musibat
kabhi hum na teri KHatir dil-e-be-qarar karte
dil-e-zar be-KHabar tha kiya qatl to maza kya
ye sipah-gari hai pahle ise hoshiyar karte
yahi chahte hain ai jaan miTe gham ki jaan jae
abhi maut agar na aati tera intizar karte
gham-o-dard-o-ranj sah ke tujhe dete hum dil apna
inhin bewafaiyon par tera eatibar karte
jo safar ka waqt aaya na pukare sath wale
abhi aankh lag gai thi hamein hoshiyar karte
jo KHilaf umid ke ho to shikasta-KHatiri hai
kai TukDe dil ke hote jo tum ek war karte
wo na aae mar gae hum agar aate bhi to kya tha
yahi jaan sadqe karte yahi dil nisar karte
hamein jaan de ke mara hamein de ke dil miTaya
na gham-e-firaq hota na KHayal-e-yar karte
wo ada thi qatl-gah mein ki bayan se hai bahar
mere dil pe zaKHm paDta wo kisi pe war karte
teri samt ki tawajjoh na kabhi jahan-e-fani
jo zara sabaat pate to kuchh eatibar karte
KHabar us ki pahle hoti ki na aaega ye hum ko
to 'rashid' sher ka fan na hum iKHtiyar karte
Ghazal
Hum ajal ke aane par bhi tera intizar karte
Rasheed lakhnavi