hum aise soe bhi kab the hamein jaga late
kuchh ek KHwab to shab-KHun se bacha late
ziyan to donon tarah se hai apni miTTi ka
hum aab late ki apne liye hawa late
pata jo hota ki niklega chand jaisa kuchh
hum apne sath sitaron ko bhi uTha late
hamein yaqin nahin tha KHud apni rangat par
hum is zamin ki hatheli pe rang kya late
bas aur kuchh bhi nahin chahta tha main tum se
zara si chiz thi duniya kahin chhupa late
hamare azm ki shiddat agar samajhni thi
to is safar mein koi saKHt marhala late
Ghazal
Hum aise soe bhi kab the hamein jaga late
Abhishek Shukla