اردو हिंदी
Hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain | Shaahi Shayari
hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain

Ghazal

Hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain

Abbas Qamar

;

hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain
agar hote bhi hain be-intiha dushwar hote hain

KHamoshi kah rahi hai ab ye do-aba rawan hoga
hawa chup ho to barish ke shadid aasar hote hain

zara si baat hai is ka tamasha kya banaen hum
irade TuTte hain hausle mismar hote hain

shikayat zindagi se kyun karen hum KHud hi tham jaen
jo kam-raftar hote hain wo kam-raftar hote hain

gale mein zindagi ke risman-e-waqt hai to kya
parinde qaid mein hon to bahut hoshiyar hote hain

jahan wale muqayyad hain abhi tak ahd-e-tifli mein
yahan ab bhi khilaune raunaq-e-bazar hote hain

gulu-e-KHushk un ko bhejta hai de ke mashkiza
kuchh aansu tishna-kaamon ke alam-bardar hote hain

badan un ko kabhi bahar nikalne hi nahin deta
'qamar-abbas' to ba-qaeda tayyar hote hain