hum aise log jald asir-e-KHizan hue
lekin ghurur-o-tamkanat-e-gulistan hue
tufan-e-ahd-e-taza tera shukriya ki ab
jitne sitare zehn mein chamke dhuan hue
aae hain phul dhup se bachne meri taraf
mera hi dil hai chand jahan mehman hue
jab tum mile to samne mai-KHana mil gaya
aur falsafe hayat ke sab raegan hue
meri nazar se aaj gurezan hai gulistan
meri nazar ki chhanw mein ghunche jawan hue
ab kuchh nahin hai mabad-e-geti KHata muaf
moti se ashk sarf-e-mah-o-kahkashan hue
ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'
cigarette jalai sher kahe shadman hue
Ghazal
Hum aise log jald asir-e-KHizan hue
Salam Machhli shahri