hum aise kab the ki KHud badaulat yahan bhi karte qadam nawazish
magar ye ek ek qadam par ai jaan faqat inayat karam nawazish
kahan ye ghar aur kahan ye daulat jo aap aate udhar ko ai jaan
jo aan nikle ho banda-parwar to kije ab koi dam nawazish
laga ke Thokar hamare sar par bala tumhaari kare tassuf
ki hum to samjhe hain is ko dil se tumhaare sar ki qasam nawazish
jawab manga jo nama-bar se to us ne kha kar qasam kaha yun
zaban qalam ho jo jhuT bole ki wan nahin yak qalam nawazish
uThawen nazan ke hum na kyunkar 'nazir' dil se ki jin ke howen
jafa talattuf itab shafqat ghazab tawajjoh hatam nawazish
Ghazal
Hum aise kab the ki KHud badaulat yahan bhi karte qadam nawazish
Nazeer Akbarabadi