اردو हिंदी
Hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain | Shaahi Shayari
hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain

Ghazal

Hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain

Afeef Siraj

;

hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain
hum jalwa jalwa kahte hain wo parda parda karte hain

ai naseh tu kya kahta hai wo aajiz hai mai-noshi se
le toD rahe hain saghar ko hum aaj hi tauba karte hain

sarkar ka hai bazar bhi kya har jins KHaridi jati hai
bech aae sab iman dharam hum sar ka sauda karte hain

jab hum ne zaban kholi apni maslub hue maqtul hue
ye dekhiye hum KHamosh hue sab mera charcha karte hain

ye kunj-e-qafas ye aah-o-buka ye ranj-o-alam hain mere liye
kya baat hui mil kar hum se kyunkar wo girya girte hain

wo dil apna bahlate hain is sham-o-sahar ke khel mein hum
har subh dabaate hain jazbe har sham wo fitna karte hain

jab baat wafa ki aati hai jab manzar rang badalta hai
aur baat bigaDne lagti hai wo phir ek wada karte hain