hum ahl-e-jabr ke nam-o-nasab se waqif hain
saron ki fasl jab utri thi tab se waqif hain
kabhi chhupe hue KHanjar kabhi khinchi hui tegh
sipah-e-zulm ke ek ek Dhab se waqif hain
wo jin ki dast-KHaten mahzar-e-sitam pe hain sabt
har us adib har us be-adab se waqif hain
ye raat yun hi to dushman nahin hamari ki hum
daraazi-e-shab-e-gham ke sabab se waqif hain
nazar mein rakhte hain asr-e-buland-e-baami-e-mehr
furaat-e-jabr ke har tishna-lab se waqif hain
koi nai to nahin harf-e-haq ki tanhai
jo jaante hain wo is amr-e-rab se waqif hain
Ghazal
Hum ahl-e-jabr ke nam-o-nasab se waqif hain
Iftikhar Arif