اردو हिंदी
Hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte | Shaahi Shayari
hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte

Ghazal

Hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte

Saeeduzzamaan Abbasi

;

hum ahl-e-dil bhi agar fikr-e-jaan-o-tan karte
to log husn pe izhaar-e-husn-e-zan karte

bhaTak rahi hain KHizan dida KHar-o-KHas ki tarah
wo kam nazar jo chale the chaman chaman karte

bahaar kab thi tera aaina ki diwane
qaba-e-gul ki tarah chaak pairahan karte

sanwarta na koi teri zulf-e-mushkin ko
jo hum bhi pairwi-e-ahu-e-KHutan karte