hum ahl-e-azm agar dil se justuju karte
to aur manzil-e-jaanan ko surKH-ru karte
na dastaras mein bahaaren na dil hi qabu mein
gharib-e-shahr kahan tak jigar lahu karte
kise KHabar hai ki dil ke kanwal khilen na khilen
kaTi hai umr bahaaron ki aarzu karte
na aa sake the ye haalat ka taqaza tha
jo aa gae the to phir khul ke guftugu karte
ye faisla to kiya dil ne bar bar magar
ek aarzu hi rahi tark-e-arzu karte
sukun-e-sina-e-tufan 'mujib' kya shai hai
ye jaaniye to na sahil ki aarzu karte
Ghazal
Hum ahl-e-azm agar dil se justuju karte
Mujeeb Khairabadi