hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa paDa
har har qadam pe khel naya khelna paDa
apna hi shahr hum ko baDa ajnabi laga
apne hi ghar ka hum ko pata puchhna paDa
insan ki bulandi o pasti ko dekh kar
insan kahan khaDa hai hamein sochna paDa
mana ki hai farar magar dil ko kya karen
mazi ki yaad hi mein hamein Dubna paDa
majburiyan hayat ki jab had se baDh gain
har aarzu ko panw-tale rondna paDa
aage nikal gae the zara apne-ap se
hum ko 'habib' KHud ki taraf lauTna paDa
Ghazal
Hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa paDa
Habeeb Hyderabadi