hum agar dasht-e-junun mein na ghazal-KHwan hote
shahr hote bhi to aawaz ke zindan hote
zindagi tere taqaze agar aasan hote
kitne aabaad jazire hain ki viran hote
tu ne dekha hi nahin pyar se zarron ki taraf
aankh hoti to sitare bhi numayan hote
ishq hi shola-e-imkan-e-sahr hai warna
KHwab tabir se pahle hi pareshan hote
mazi o dosh ka har dagh hai farda ka charagh
kash ye sham o sahar sarf-e-dil-o-jaan hote
zabt-e-tufan ki tabiat hi ka ek ruKH hai 'zamir'
mauj aawaz badal leti hai tufan hote
Ghazal
Hum agar dasht-e-junun mein na ghazal-KHwan hote
Syed Zameer Jafri