hum aap ko to ishq mein barbaad karenge
tasir-e-wafa par tujhe kya yaad karenge
yan saKHt dilon mein nahin hamdam koi apna
ja koh mein farhad ko fariyaad karenge
mahrum na rakkhega hamein ishq-e-butan se
go dad na den kushta-e-bedad karenge
ai daur-e-falak mujh ko qasam sar ki hai apne
hum shad kabhi ye dil-e-nashad karenge
gar silsila-e-ishq mein farzand-e-KHalaf hain
hum KHana-KHarabi ka ghar aabaad karenge
kab pairawi-e-qais karen ishq o junun mein
is fan mein kuchh apna hi hum ijad karenge
ho halqa-ba-gosh aah-o-fughan ka meri majnun
jab kan pakaD yaad hum ustad karenge
'hasrat' yunhi aaKHir hui ye fasl bhi gul ki
kab kunj-e-qafas se hamein aazad karenge
Ghazal
Hum aapko to ishq mein barbaad karenge
Hasrat Azimabadi