اردو हिंदी
Hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte | Shaahi Shayari
hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte

Ghazal

Hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte

Saghar Nizami

;

hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte
mubham sa ishaara bhi gawara nahin karte

hasil hai jinhen daulat-e-sad-abla-pai
wo shikwa-e-be-rangi-e-sahra nahin karte

sad-shukr ki dil mein abhi ek qatra-e-KHun hai
hum shikwa-e-be-rangi-e-duniya nahin karte

maqsud ibaadat hai faqat did nahin hai
hum pujte hain aap ko dekha nahin karte

kafi hai tera naqsh-e-qadam chahe jahan ho
hum pairwi-e-dair-o-kalisa nahin karte

sajda bhi hai minjumla-e-asbab-e-numaish
jo KHud se guzar jate hain sajda nahin karte

jin ko hai teri zat se yak-guna talluq
wo tere taghaful ki bhi parwa nahin karte

ye lamha-e-hazir to hai kaunain ka hasil
hum haal ko nazr-e-gham-e-farda nahin karte

har aag ko pahlu mein chhupa lete hain 'saghar'
hum tundi-e-sahba se bhi pighla nahin karte