اردو हिंदी
Hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae | Shaahi Shayari
hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae

Ghazal

Hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae

Kaif Ahmed Siddiqui

;

hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae
aankhen khulin to jagte KHwabon mein kho gae

hum safha-e-hayat se jab be-nishan hue
lafzon ki ruh ban ke kitabon mein kho gae

aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil
KHushbu ka rang pa ke gulabon mein kho gae

dar-asl barshgal ke tum aaftab the
barsat jab hui to sahabon mein kho gae

nikle the jo bhi aaj talash-e-sawab mein
wo zindagi ke saKHt azabon mein kho gae

dil ko thi ek shahr-e-tamanna ki justuju
lekin hum aarzu ke KHarabon mein kho gae

jab masala hayat ka kuchh hal na ho saka
hum 'kaif' falsafe ki kitabon mein kho gae