hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par
din-bhar kabutaron ko bhagate hain baw par
rindon ko ek rose to dariya-dili dikha
kashti-e-mai ko chhoD de saqi bahao par
likkhun wo sher-e-ariz-e-rangin ki wasf-bin
taKHta chaman ka sadqe hon kaghaz ki naw par
kuchh hajat-e-kabab nahin kaif-e-ishq mein
siKHen dil-o-jigar ki lagin hain alaw par
be-minnat-e-jahan-e-tunuk-zarf agar mile
wallah phir to charb hai KHasha pulaw par
qane ki munh se nemat-e-duniya KHafif hai
bhaari hai paw nan par meri nan paw par
aafat-nishan hain dida-e-fattan ki putliyan
tashhir samri ko karenge ye gaw par
bazicha-gah-e-ishq mein wo hun qimar-baz
donon jahan rakh diye hain ek daw par
kyun kar baraatiyon se na ghunghaT kare dulhan
sari sabha miTi hai tumhaare banaw par
gul-gasht ki hawas chamanistan ki aarzu
ai be-qarariyo mere dil ko lagaw par
karta hun main jo marham-e-kafur ki talash
karti hai chandni meri sine ke ghaw par
kashti-e-mai lagi rahi saqi labon ke ghaT
hum mai-kashon ka qafila hai chal-chalaw par
main jal mein aa gaya wo na aaya fareb mein
main zad pe chaDh gaya wo na Thera lagaw par
parwane ki tarah na bujha de charagh-e-husn
tuti-e-KHat ke aatish-e-ruKH se jalao par
ilm-e-safina us ko tujhe ilm-e-sina 'bahr'
tu pul par aur shaiKH hai kaghaz ki naw par
Ghazal
Hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par
Imdad Ali Bahr