hum aahuwan-e-shab ka bharam kholte rahe
mizan-e-dilbari pe unhen tolte rahe
aks-e-jamal-e-yar bhi kya tha ki der tak
aaine qumriyon ki tarah bolte rahe
kya kya tha hall-e-masala-e-zindagi mein lutf
jaise kisi ka band-e-qaba kholte rahe
puchho na kuchh ki hum se ghazalan-e-bazm-e-shab
kis shahr-e-dilbari ki zaban bolte rahe
kal shab tha zikr-e-hur bhi zikr-e-butan ke sath
zohd-o-safa idhar se udhar Dolte rahe
apna bhi wazn kar na sake log aur hum
ruh-e-wara-e-ruh ko bhi tolte rahe
sarmaya-e-adab thi hamari ghazal 'zafar'
ashaar-e-naghz the ki guhar rolte rahe
Ghazal
Hum aahuwan-e-shab ka bharam kholte rahe
Sirajuddin Zafar