اردو हिंदी
Hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge | Shaahi Shayari
hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge

Ghazal

Hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge

Fana Nizami Kanpuri

;

hum aagahi-e-ishq ka afsana kahenge
kuchh aql ke mare hamein diwana kahenge

rahta hai wahan zikr-e-tuhur-o-mai-e-kausar
hum aaj se kabe ko bhi mai-KHana kahenge

unwan badal denge faqat aap ki KHatir
hum jab bhi kahenge yahi afsana kahenge

parwane ko hum shama samajhte hain sar-e-sham
hangam-e-sahar shama ko parwana kahenge

sar rakh ke tere panw pe hum karte hain shikwa
kuchh log ise sajda-e-shukrana kahenge

ban jaega allah ka ghar KHud hi kisi din
filhaal 'fana' dil ko sanam-KHana kahenge