halqe nahin hain zulf ke halqe hain jal ke
han ai nigah-e-shauq zara dekh-bhaal ke
pahunche hain ta-kamar jo tere gesu-e-rasa
mani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke
bos-o-kanar-o-wasl-e-hasinan hai KHub shaghl
kamtar buzurg honge KHilaf is KHayal ke
qamat se tere sane-e-qudrat ne ai hasin
dikhla diya hai hashr ko sanche mein Dhaal ke
shan-e-dimagh ishq ke jalwe se ye baDhi
rakhta hai hosh bhi qadam apne sambhaal ke
zinat muqaddama hai musibat ka dahr mein
sab shama ko jalate hain sanche mein Dhaal ke
hasti ke haq ke samne kya asl-e-in-o-an
putle ye sab hain aap ke wahm-o-KHayal ke
talwar le ke uThta hai har talib-e-farogh
daur-e-falak mein hain ye ishaare hilal ke
pechida zindagi ke karo tum muqaddame
dikhla hi degi maut natija nikal ke
Ghazal
Halqe nahin hain zulf ke halqe hain jal ke
Akbar Allahabadi