halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka
zulf-e-jaanan mein hai aalam subha-e-simab ka
sone mein nazzara kar lun ru-e-alam-tab ka
KHauf kya duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtab ka
khel bhi betab tha tifli mein us betab ka
par uData tha hawa par mahi-e-be-ab ka
ruk nahin sakta hai dariya dida-e-pur-ab ka
paT hai rumal mera daman-e-sailab ka
KHwab mein yaran-e-rafta se mulaqaten huin
hum ne samjha KHizr ghaflat ko rah-e-ahbab ka
kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw
aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka
nind ki surat nahin dekha ba-juz dagh-e-jigar
parda meri aankh mein shayad ki hai kam-KHwab ka
lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein
dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka
majlis-e-be-shama wo hain sham-e-be-majlis hun main
gham mera ahbab ko hai mujh ko gham ahbab ka
hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae
dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka
ahl-e-taslim-o-raza se sar-bulandon ki hai zeb
KHushnuma zer-e-manar o qurb hai mehrab ka
jhuk ke hum ne bosa-e-abru ki jab mangi dua
halqa-e-aghosh par aalam hua mehrab ka
is qadar fariyaad mahshar-KHez ai bulbul na kar
dekhna taKHta na ulTe gulshan-e-shadab ka
mohr-e-dast-awez-e-gham hai har bashar ka dagh-e-gham
dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbab ka
be-takalluf aa gaya wo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gaya pas-e-adab se qafiya aadab ka
parwarish taqdir karti hai mujhe bahr-e-qaza
zabh ko parwarda karna kaam hai qassab ka
nashsha-e-jurat ziyaada ho gaya ai mai-kasho
saghar-e-mai ban gaya kasa sar-e-sohrab ka
mu-e-atish-did san bal khae wo mu-e-kamar
main jo likkhun garm mazmun us tilai Dab ka
ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir
chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka
KHal-o-KHat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin
husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka
dost dushman se ziyaada tez rakhte hain chhuri
barhaman bhi pesha ab karne lage qassab ka
honT par angusht-e-rangin rakh ke wo kahne lage
shaKH-e-marjaan ne samar paida kiya unnab ka
laghari ke sath betabi yahi ai bahr-e-husn
KHar hai ye jism-e-laghar mahi-e-be-ab ka
teri furqat mein jo aae bhul kar aankhon mein nind
marduman-e-chashm ne phir munh na dekha KHwab ka
mere murgh-e-dil ki betabi uDai kis tarah
hausla aisa nahin hai tair-e-simab ka
KHidmat-e-aqdas mein chal kar ye ghazal paDh ai 'munir'
shohra sab ahl-e-suKHan mein hai tere nawwab ka
Ghazal
Halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka
Muneer Shikohabadi