halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin
nigah-e-dost mein ab koi imtihan bhi nahin
talash-e-dair-o-haram ka maal kya kahiye
sukun yahan bhi nahin hai sukun wahan bhi nahin
teri nigah ne khola moamla dil ka
nazar zaban nahin rakhti pa be-zaban bhi nahin
usi ko sare zamane se hum chhupae rahe
wo ek baat zamane se jo nihan bhi nahin
subut barq ki ghaarat-gari ka kis se mile
ki aashiyan tha jahan ab wahan dhuan bhi nahin
nishan-e-qafila-e-umr DhunDne walo
yahan to dur talak gard-e-karwan bhi nahin
Ghazal
Halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin
Azhar Saeed