halak-e-kashmakash-e-raegan bahut se hain
ki zindagi hai to kar-e-ziyan bahut se hain
main is hawa mein bahut der raushni dunga
abhi diye sar-e-mehrab-e-jaan bahut se hain
use bhi apne sanwarne ka kab KHayal aaya
jab ahl-e-ishq ko kar-e-jahan bahut se hain
is ek baat pe hairan hai waqt ka munsif
ki is mein kaun sa sach hai bayan bahut se hain
ajab ye KHitta-e-zinda-dilan hua aabaad
ki ghar kahin bhi nahin aur makan bahut se hain
Ghazal
Halak-e-kashmakash-e-raegan bahut se hain
Razi Akhtar Shauq