hairat-zada main un ke muqabil mein rah gaya
jo dil ka muddaa tha mere dil mein rah gaya
KHanjar ka war karte hi qatil rawan hua
arman-e-did dida-e-bismil mein rah gaya
jitni safa thi sab ruKH-e-jaanan mein aa gai
jo dagh rah gaya mah-e-kaamil mein rah gaya
ai mehrban dasht-e-mohabbat chale chalo
apna to pa-e-shauq salasil mein rah gaya
wahshat-faza bahut thi hawa dasht-e-qais ki
parda kisi ka parda-e-mahmil mein rah gaya
'mahrum' dil ke hath se jaan thi azab mein
achchha hua ki yar ki mahfil mein rah gaya
Ghazal
Hairat-zada main un ke muqabil mein rah gaya
Tilok Chand Mahroom