اردو हिंदी
Hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main | Shaahi Shayari
hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main

Ghazal

Hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main

Nizamuddin Nizam

;

hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main
dekhunga tujh ko aankh ko patthar karunga main

aandhi ko oDh lunga zarurat paDi agar
tapti hui chaTan ko bistar karunga main

logon ko ek sham dikhaunga moajiza
sae ko apne qad ke barabar karunga main

sanpon ko doston se bhi Daswaunga kabhi
dekhoge ye tamasha saDak par karunga main

ya apni band muTThiyan dekhunga ghaur se
warna KHayal-e-dast-e-sikandar karunga main

'ghaalib' ke baad urdu ghazal mar gai 'nizam'
murde pe aisa kaun sa mantar karunga main