hairan si hai bhachak rahi hai
nargis kis gul ko tak rahi hai
aai hai bahaar ghunche chaTke
kya phulon ki bu mahak rahi hai
mai-KHane pe meinh baras raha hai
bijli kaisi chamak rahi hai
baqi hai asar abhi junun ka
sauda to gaya hai jhak rahi hai
puchho na jalan ka dil ke ahwal
ek aag paDi dahak rahi hai
nargis ko to aankh uTha ke dekho
kis yas se tum ko tak rahi hai
laila majnun ka raTti hai nam
diwani hui hai bak rahi hai
paigham-e-bahaar aan pahuncha
bulbul kya kya chahak rahi hai
mizhgan ka jo dil mein hai tasawwur
ek phans paDi khaTak rahi hai
ho jaega ram rafta rafta
wahshat to miTi jhijak rahi hai
baqi jo ye jaan-e-na-tawan hai
kya zindon mein hai sisak rahi hai
aane ki tere hi muntazir hai
o maut kahan tu thak rahi hai
kya shoKH hai wo sunahri rangat
kandan ki tarah damak rahi hai
ru-e-rangin araq-fishan hai
shabnam gul se Tapak rahi hai
hum 'rind' hain bazm apni kis raat
be-jam-e-mai o gazak rahi hai
Ghazal
Hairan si hai bhachak rahi hai
Rind Lakhnavi