hairan sara shahr tha jis ki uDan par
panchhi wo phaD phaDa ke gira saeban par
shayad usi se zehan ka jangal mahak uThe
lafzon ke gul khilaiye shaKH-e-zaban par
kis dil ki rakh juzw-e-rag-e-sang ho gai
suraj-mukhi ka phul khila hai chaTan par
ek din use zamin ki kashish khinch laegi
kab tak rahega tera KHayal aasman par
aawaz ki mahak na kabhi qaid ho saki
pahre lage hazar gulon ki zaban par
Ghazal
Hairan sara shahr tha jis ki uDan par
Hazin Ludhianvi