hairan nahin hain hum ki pareshan nahin hain hum
is par bhi shaki-e-gham-e-dauran nahin hain hum
shikwa zaban pe laen wo insan nahin hain hum
tere sitam-ba-KHair pareshan nahin hain hum
KHak apni KHak-e-kucha-e-jaanan mein ja mili
ehsanmand-e-gor-e-ghariban nahin hain hum
aankhon mein ashk dagh jigar mein labon pe aah
sab kuchh hai pas be-sar-o-saman nahin hain hum
gulha-e-ashk-e-KHun se hai daman bhara hua
kis ne kaha ki KHuld-ba-daman nahin hain hum
hum se gurez hum se ye be-eatinaiyan
ai dost bul-hawas ka to arman nahin hain hum
hasrat jo aa gai wo nikal hi nahin saki
wa ho sake jo 'abr' wo zindan nahin hain hum
Ghazal
Hairan nahin hain hum ki pareshan nahin hain hum
Abr Ahsani Ganauri