hairan na ho dekh main kya dekh raha hun
bande teri surat mein KHuda dekh raha hun
wo apni jafaon ka asar dekh rahe hain
main mani-e-taslim-o-raza dekh raha hun
duzdida nigahon se kidhar dekh rahe ho
kya baat hai! ye aaj main kya dekh raha hun
hai husn yahi shai to guman aur na kije
sauda nahin matlub zara dekh raha hun
kis tarah na qail hun dua-e-sahari ka
us lab pe tabassum ki ziya dekh raha hun
kyun arz-e-watan tang hai ye baat hi kya hai
ab to faqat ek qabr ki ja dekh raha hun
mar jaane ki dhamki hui tamhid-e-tamasha
main ne kaha dekh us ne kaha dekh raha hun
Ghazal
Hairan na ho dekh main kya dekh raha hun
Hafeez Jalandhari