hairan hun ki ab laun kahan se main zaban aur
lab kahte hain kuchh aur unhen hota hai guman aur
jaen to kahan jaen mohabbat ke KHaridar
arbab-e-siyasat ne to kholi hai dukan aur
malum nahin hai mere sayyaad ko shayad
ghuTti hai agar sans to khulti hai zaban aur
ab wada-e-farda mein kashish kuchh nahin baqi
dohrai hui baat guzarti hai giran aur
dekhegi jo ek pal mein meri aankh se tujh ko
ho jaegi duniya teri jaanib nigaran aur
lag jati hain mohren si labon par unhen mil kar
hota hai magar dil ke dhaDakne ka saman aur
khulti hain nahin hashr ke din bhi meri aankhen
shayad ki muqaddar mein hai ek KHwab-e-giran aur
hum rakh hue us pe magar aanch na aai
jalne ka saman aur jalane ka saman aur
go arz-o-talab ek hasin shaghl hai lekin
is khel mein baDh jata hai andesha-e-jaan aur
mearaj-e-takallum hai KHamoshi meri 'bismil'
aati hi nahin koi mujhe tarz-e-fughan aur
Ghazal
Hairan hun ki ab laun kahan se main zaban aur
Bismil Sabri