اردو हिंदी
Hairan hun ki aaj ye kya hadisa hua | Shaahi Shayari
hairan hun ki aaj ye kya hadisa hua

Ghazal

Hairan hun ki aaj ye kya hadisa hua

Azhar Naiyyar

;

hairan hun ki aaj ye kya hadisa hua
hai aag sard dil bhi hai mera bujha hua

manzil pe pahle meri rasai hui to phir
har naqsh-e-pa se aage mera naqsh-e-pa hua

rekhaen hath ki to siwa jagti rahen
ai kash mera baKHt rahe jagta hua

thi us ki band muTThi mein chiTThi dabi hui
jo shaKHs tha train ke niche kaTa hua

'nayyar' kahani yaad hai pariyon ke desh ki
main us tilism se na abhi tak riha hua