hairan hai zamane mein kise apna kahe dil
chehre to hain gul-rang magar khoT bhare dil
kis samt liye jata hai ye daur-e-taraqqi
dhaton ke hue jism to patthar ke bane dil
ghuncha hai to chaTke wo sitara hai to chamke
betab hai sine mein dhaDakne ke liye dil
viran-kada-e-dahr mein kya rakkha hai 'munzir'
kuchh dard ke afsane to kuchh TuTe hue dil
Ghazal
Hairan hai zamane mein kise apna kahe dil
Basheer Munzir